Dosto aap sab Paytm ke bare main to jante hi hoge , Paytm 2016 me bahut tezi se growth karne vali company hai ,
Aaj kal jyada tar log Paytm ka hi use karte hai , Jesa ki ham sab jante hai Paytm se online transaction jese Shoping , Money Transfer , Money Receive Kar sakte hai
Par kya aapko ye malum hai hum Paytm se paise bhi Earn kar sakte hai vo bhi bina koi investment kiye , to chaliye aaj fir iske bare kuch jaan lete hai.
Paytm Partner Kaise Bane
Paytm pehle Paytm wallet ko hi support karta tha par baad me Paytm me Paytm ne Payment Bank bhi khol liya or RBI ne Paytm ko licence bhi de diya hai,
Par jab se ye service chalu hui Security ko dekte hue RBI ne apne sabhi Third Party Wallet companies ko Kyc karwane ke liye Order de diye hai,
Agar Aap Kyc nahi karwate hai to Apke Registered acount close ho jayege or aap fir Paytm ki services use nahi kar skte ho,
Isi ko dekh kar Paytm ne Paytm Partner Name ki ek service chalu ki jisme koi bhi registration karwa sakta hai,
Paytm Partner Agent banne ke liye Apke paas bas thodi si eligibility honi chaiye
Jese Apke paas ek Smart Mobile Phone , Or Apke legal Document.
Jab se Paytm ne Apne users ko KYC ke liye Notifications jari kiye hai tab se lagbhag 48℅ logo ne Paytm Chalana chod diya hai ,
Vajah ye hai ki unhe Paytm KYC karwane ke liye Koi KYC agent nahi mil pata hai,
Isi liye Paytm ne Paytm Partner ke through Paytm Agent banana Chalu kiye Or Kyc agent ki requirements post ki ,
Paytm Agent Kaise Bane
Paytm agent Banne ke liye bas apko kuch steps follow karne honge , or iske liye Apko Koi bhi charges nahi dena hota hai ,
Or aap Paytm Agent Bankar Aaram se Pese Earn kar sakte ho , Agar Aap pehle se koi kaam kar rahe ho fir bhi aap Paytm Agent ban sakte ho .
Paytm Agent Banne ke liye Apko Paytm ke Partner Program me jakr apna Registration karna hai jisme aapko Apna Name , Email Address , Or apne Document submit kar dena hai ,
Document submit hone ke baad apko Paytm ke taraf se ek call aayegi or Fir vo apke Bataye hue adress par aakar Kuch Documentation pure karege .
Baad me Apke Email Par apko Paytm Partner Agent Id Pasword send kar diya jayege or aap Paytm Agent ban jayege.
Paytm Agent ban ne se kya fayda hai
Vese to Paytm Agent aap Part Time ke liye ban sakte ho baki jo kaam aap kar rahe ho use karte hue aap Paytm Agent par kam kar sakte ho Or Paytm har successful KYC par 20 Rs deta hai ,
[Example agr aap daily 10 Kyc karte ho to aap Daily 200 Rs earn mar sakte ho.]
Eligibility For Become a Paytm Partner Agent
● Smartphone
● Biometric device
● Shop
> To Dosto kese lagi apko ye post Agar aapko ye post pasand aayi ho to apne dosto ke sath share karna na bhule . Dhanywaad !
Mujhe bhi BC agent bannahai
Mujhe bhi BC agent bannahai
thanks for sharing such a nice article.Thanks
thanks for sharing such a nice article.Thanks