Facebook Domain Verification Kya hai | Facebook Domain Verify Kaise Kare

Aap sabhi ka ek har fir se LazyPk blog me swagat hai , kya aap Facebook Domain Verification ke bare me jante hai .

Facebook Domain Verification Kya Hai – Aaj main is post me aap sabhi ke sath share karunga ki kaise aap Facebook Domain Verify kar sakte ho . See Screenshot –

facebook-domain-verification-822495612-2034537

Facebook par show hota hai , aap apne link ke i button par click karke dekhiye.

Par verify karne se pehle ham detail me jaan lete hai ki , aakhir Facebook Domain Verification hota kya hai .

Or ye hamare website ke liye kyu jaruri hai , agar aap direct setup karne chahte hai to aap scroll karke last vala paragraph dekh le .

What is Domain Verification / Domain Verification Kya Hota Hai ?

Agar aap ek blogger honge ya aapki khud ki koi website hogi , to aap apni site ke link facebook par share to karte hi honge .

Par shyad aap jante nahi honge agr hum ek hi link ko bahut jagah facebook par share kare hai to , facebook hamare domain ko block bhi kar deta hai .

Shyad aapke sath aisa hua bhi ho , agar aap apni site ki link share karte honge to , aisa jarur hua hoga .

Jab hum koi link facebook par share karte hai to , facebook us link ko. Analyze karta hai.

Ki jo link share ki ja rahi hai vo koi spam to nahi hai , aaj kal fake news bahut viral hoti hai , isiliye facebook check karta hai ki ye link verified domain se share ho rahi hai ya unknown domain se .

Agar aap apna domain facebook se verify kar lete hai , to facebook kabhi bhi verified domain ki link ko share karne se block nahi karega .

Domain Verification Kiske Liye Hai ?

Agar Domain Verification ki baat ki jaye to ye un sabke liye hai jo apni link ko facebook par share karte hai , kyunki bina domain verification ke hum apni link ko edit nahi kar sakte hai .

Par agar hamara domain verify hai to ham jab chahe apne link ko edit kar sakte hai , example Thumbnail change , Title change e.t.c

Facebook Par Domain Verify Kaise Kare

Vese to domain verify krne ke liye jyada kuch karna to nhi hota hai , par jo bhi procedure hota hai vo main aapko step by step bta raha hu .

Facebook Domain Verification ke liye aapke paas Facebook Business Account hona chahiye .

Agar aap facebook ka use karte ho to aap free me ek business account Bana sakte hai , agar aapko business account kaise banate hai nahi pata hai to mene ye post likha hai.

Aap is post ko pura padh lijiye mene step by step bataya hai , niche link par click karke post ko padh le .

Read also – Facebook se Apna Domain kaise unblock kare

Top Free WordPress Hosting

Step – 1 Add Your Domain To Facebook Business Manager

Agar aapke paas business account nahi hai to aap bana le , account create karne ke baad Facebook Business Manager open kar le . Open Facebook Business Manager

1 – Open Facebook Business Manager

2 – Click on Business Setting

picsart_02-04-011864060416-8001711

3 – Left side me Brand Safety par click karle or apna business account select karle

picsart_02-04-01803786531-3612714

4 – Add button par click kar le.

picsart_02-04-01451342515-8110707

5 – Domain enter kare.

picsart_02-04-01455383881-7004149

Step – 2 Verify Your Domain

Yaha par Domain Verify karne ke liye 2 option mil jate hai . DNS Verification or HTML File upload , niche me Dino bata raha hi aapko .

DNS Verification

1 – Sabse pehle to hame TXT record generate kar Lena hai , uske liye simply DNS par click kare .

picsart_02-04-012061943265-8519997

2 – DNS Verification par click karne par niche TXT record Ko copy kar le

3 – Ab TXT record Ko Apne domain provider ke DNS management me jakar TXT record add karde .

4 – TXT record save karne ke baad verify par click karde .

picsart_02-04-01-1350792694-2748726

Note – kabhi – kabhi verify karne me maximum time 72hr tak lagi jate hai , agar aisa kuch show kare to aap wait kar le .

Step – 3 Ab Apna Page Select Kare

Ab aapko jis page me domain add karna hai vo page select karna hai .

1 – Domain par click kare.

2 – Page add kare.

picsart_02-04-02-2038639010-7003709

3 – Page select kare or Save karde.

Facebook Domain Verification

Lijiye ho gaya aapka domain facebook par verify ab aap apne link ke i button par click karke dekh sakte hai.

Read more – Support Me India by Jumedeen Khan Full Details in Hindi

Last Word

Dosto ye tha aaj ka post jisme mene btaya hai , ki kaise hum apne Domain Ko Facebook Par Verify kar sakte hai.

Agar aapko domain verification me koi problem aati hai, to hame comment kar jarur bataye.

Thank You For Visiting LazyPk – Hindi Technology Blog !

Comments (20)

  1. Verify Karneka bad bhi
    Me jab Video ka sath Link Share Kar rh hun
    (There was an error while creating your video post
    You can’t share this link: [object Object])
    Aise error aa rh he

    Reply
  2. Hello Pankaj,
    I read your article and that’s great. I just loved your website. Your articles are well-written and informative articles.
    Thankyou!

    Reply
  3. Hello Pankaj,
    I read your article and that’s great. I just loved your website. Your articles are well-written and informative articles.
    Thankyou!

    Reply
  4. Verify Karneka bad bhi
    Me jab Video ka sath Link Share Kar rh hun
    (There was an error while creating your video post
    You can’t share this link: [object Object])
    Aise error aa rh he

    Reply

Leave a Comment