Antivirus Kya Hota hai – What is Antivirus ?

 

Hello dosto kaise ho aap sab aaj main aap sabko Antivirus ke bare main bataunga ,

Aaj hum Antivirus kya hota hai or virus kya hai or is apne system ko kaise bachaye isake bare me jankari lenge.

 
What is Antivirus


Aaj main aap sabko system ke top Antivirus ke bare main bataunga , vaise aap sab ne suna hi hoga Antivirus or virus se hamara system hang or kharab ho sakta hai ,

isliye main aaj aap sabko virus se bachane ke liye kuch tips bataunga jis se aapke devices me virus ka koi effect na ho , to chaliye topic ko shuru karte hai.


Sabhi computer or mobile users apne devices me Images , Song , Videos , Document file store karke rakhte hai jinki bahut value hoti hai , or kabhi aisa ho jaye jis se aapka sara data delete ya kharab ho jaye to is se aapko kaafi nuksaan ho jayega ,

 iski main vajah virus hi hota hai or virus se save rehne ke liye hi Antivirus tool ki jarurat parti hai .


Virus se door rehne liye market me bahut se Antivirus Software uplabdh hai jis se hum apne computer or mobile ke data ko virus se safe rakh sakte hai .


Bahut sare logo ko yahi sawal hota hai ki hum jo file save kar ke rakhte hai vo delete ya currupt ho jati hai , jise open karne par error ka pop-up show hota ye problem system me virus aa jane ki vajah se hi hota hai ,
 main aapke sath kuch aise tips share karunga jise aap apne computer , mobile ko virus se safe rakh sakte hai .


Antivirus Kya Hota hai – What Is Antivirus ?


Aap sabko ko to samjh aa hi gaya hoga ki Antivirus ek aisa program hai jo devices se virus scan karta hai or use delete kar deta hai , Antivirus computer me chhipe hue Virus program ko delete karne ki takkat rakhta hai , vese computer me Antivirus Software ka rehna jaruri bhi hai ,
Antivirus Software virus ko system se to turant delete mar deta hai or hame apna system secure karne ki notification bhi de deta hai .


Computer Online browsing offline data transfer se aane vale virus ko scan karke delete bhi mar deta hai jis se hamara system virus free rehta hai ,


eseV to market me bahut se Free and Paid Antivirus Uplabdh hai , Example – Avira , Avast , Kaspersky E.t.c.


Antivirus Software Work Kaise karta hai


System me Antivirus ka kaam Background Processing , Data Scaning , Server Scaning , or Unknown File ko scan karna hota hai jis se ki kharab file ka pata lagaya ja sake or use delete kiya ja sake .


 Agar apke system me koi virus aane ki koshish karta hai to Antivirus use rokta hai or Delete kar deta hai , ache Antivirus ki pehchan vahi hoti hai jo Real Time active rahe or naye or purane virus ko delete karta rahe .


Agar aap kisi achhe software ka istemal karte hai to virus aapke system me kabhi nahi aa payega , Computer or Mobile Devices dono ke liye Antivirus Software jaruri hota hai .


Achhe Antivirus ki pehchan vahi hoti hai jo naye file ko automatic scan karne , danger website par jane se rokana , naye virus ko delete karne ki activities rehti ho ,


Antivirus me pehle se hi Virus file ke Sample save hote hai jo usi Sample ki file ko scan karne hi use detect kar lete hai or use delete kar dete hai .


Antivirus Ke Fayde


Computer virus ko hatane ke liye Antivirus ek most important software hai isme koi doubt nahi hai ki antivirus ka hona bahut fayademand hai


Antivirus chahe Free ho ya Paid chaliye Antivirus ke Fayde jante hai .


Title


  1. Computer ko virus se save rakhne ke liye ek achhe Antivirus ka hona jaruri hai .
  2. Antivirus aise website ko open karne se rokta hai jisme Malware ho , or us se virus aane se rokta hai .
  3. Online Transaction or online payment ko secure karta hai .
  4. Aap Internet se bina kisi darr se kuch bhi download kar sakte hai .
  5. Computer kharab hona ya Hard disk currupt hona ka darr nahi hota hai .
  6. Usser jab chahe apne operating system ko scan kar sakta hai .


Antivirus ke kya Fayde hai main umeed karta hu ki aap sab samjh hi gaye honge


Antivirus Ke Nuksaan


Isme koi shak nahi hai ki Antivirus ke Fayde se Fayde nahi hai Antivirus Software chahe free ho ya premium, to chaliye ek nazar Antivirus Software ke Nuksaan par dal lete hai .


  1. Detection Technics –

  1. Detection Techniques – Antivirus ek hi target par kam karta hai chahe vo bhi Antivirus kyun na ho , jab market me naya virus a jata hai to Antivirus ko use Detect karna bahut mushkil ho jata hai , agar aap old ya expire version use kar rahe hai to aapko nuksan ho sakta hai
  2. Does’t Fully Protect – Aap Antivirus install kar lete hai or aap use puri tarah se setup kar lete hai to isaka matlab ye nahi hai ki aapke devices main virus nahi aayega , Naye virus ko Antivirus identify nahi kar pata hai , agar koi Antivirus internet se aane vale virus ko rok raha hai to aap us par Fully satisfied nhi reh sakte ho , virus kisi dosre jariye se bhi enter ho sakta hai .
  3. Slows Down PC – Virus ko nikalne ke liye apke computer ki bahut sari files ko process karke unse virus dhundhta hai aise main aap kisi folder ko kholte hai ya koi new file ko computer me download karte hai to uski Processing computer ko slow kar deti hai .
  4. Free or Premium Antivirus – Free or Premium Antivirus ka selection jaruri hai ki konsa Antivirus ache se security dega , kabhi kabhi wrong Antivirus ka use karne se aapke security strong nahi rehti hai or virus computer me aa jata hai .


Ab aap sabko to pata chal hi gaya hoga ki Antivirus hamare System ke liye kitana jaruri hai or Kitne nuksan bhi hai .


Main umeed karta hu ki aap sabko ye post jarur pasand aaya hoga , Agar aapko ye post pasand aaya ho to ise apne dosto ke sath share karna na bhule .

Comments (0)

  1. हमारे यहां सभी भोजपुरी गाना मिलेगा खेसारी लाल पवन सिंह सुपरस्टार के गाना Fan Music Bhojpuri के

    Reply

Leave a Comment